Larazti palakon pe ek khwaab
fir nam hua hai aaj
Seher hogii to sochenge
Chaand ko kyaa naam dun
Aleph kahun ya Sifar kahun ?
Kal kuch
awara baaton ki
toli nikali thi,
Lafz kuch jyada hi
paine the shayad...
dar-o-deewar pe
kharochen si hain
abhi bhi..
ret ke teele ..
haathon ki lakeerein ..
hawa ke jhonke
surat hi badal dete hain !!!
Dhadkan ke aage bhi ek ehsaas hai ..
tu Dur hoke bhi kitna paas hai ..
lakeeron me sambhal ke rakhta hun,
anjaane rishton me bhi koi aawaj hai .. ..
Dil se kaise jude huye hain kai Dil,
sochta hun, puchhta hun, shayad koi jawaab hai ..
Dhadkan ke aage bhi ek ehsaas hai
tu Dur hoke bhi kitna paas hai
..
"regujar me raasta dikhta hai,
raahon me saathii koi .. "
socha tha Chand mukaarr hoga...
...hathon ke pare aadha sifar dhundhta reh gaya
kayi raaton ki aankhon me dhool jhonki hai maine,
kai andhron ki giraft chhod ke bhaaga hun ...
is Seher ke Sheher me aaya tha
yahi sochkar ki yahan main aznabii hun ...
din chadte chadte
mere pairon tale saaye ban ne lage hain ..
shayad yahan bhi koi mujhe pehchaanta hai !
"Panno pe zindagii,
ya Zindagii ke panne ...
koi zild kar do in panno ko
jispe maine apne kisse likhe hain,
kuch afsaane, kuch dard ke hisse likhe hain ..
chahta hun ki duniya ki nazarein bhi pade ispe,
unke aansun, dard, khushiya sang jiye iske ..
par Zindagii ke panne,
khaalii khaalii se hain,
ispe koi aisee syahii hai, jo dikhti nahi hai ..
faad kar jalata rehta hun purane ho chuke
zard panno ko ..
par hamesha kuch naye paata hun,
khaali panne, na dikhne walii syahii ke saath ..
naye to lagte hain,
par 'zard' hain ye shayad ..
pata nahi kis kaarkhaane se bankar aate hain ye ..
pata nahi ..!! "
mukhtsar gar dariya ka ishq
hai samandar ke liye,
kyu chahtii hain chhoona
usii samandar ki maujein
aasman ke dusri chhor par
atake chaand ko ..
Suna tha
insaani fitrat hoti hai aisii !
Muqarrar ho gar tere bose
mere labon ko
toh abhi hi
harfon ko jod dun,
ek nazm bana doon .. !
apne haathon ki aadi-tedhi lakeeron ko
mila kar dekha hai kai baar ...
merii taqdeer ke aaine me
tera hi chehra banta hai
aaj fir
teri khusbu se mehroom
is hawa me saans le raha hun,
aaj fir
tere na hone ki haqiqat
paaon me chubhti hai...
koshish ki thi,
par tere khwaabon ke khanzar
kund nikle!
maathe pe
silwatein nahin thi
aur aankhein bhi
band kar li thi tumne...
dheere dheere tum
kuch keh rahe the.
kisi takalluff me tum
kabhi idhar dekhte kabhi udhar,
aur zabeen ko
tum kisi tasavvur ki thandi jameen pe
rakh dete the
(aur shayad tum hawa ki manind
in panno ko uda rahe the
udhadi udhadi si zild,
peele peele
dabe dabe se panne
betuke se lafz
aur na dikhayi dene wale
maayne...)
ye
meri kitaab saamne rakhkar
tum
kiska sazda
kar rahe the... ?
abhi abhi ek khayal ke gumshuda hone ki khabar aayi hai,
kahin tere chehre pe bikhre kakulone me to nahi chhupa hai ..
ya fir in ranj-o-gham ki duniya se bekhabar aankhon me panaah li hai ?
tere surkh hothon ke pare bhi dekhna hoga ...
tere haathon ke lams me shayad uskii milne ki gunzaaish hogii ..
terii khuli kitaab ke us panne me shayad muda hua ho ..
ya fir khidkii ke parde ki salwaton me luka-chupi kar raha ho,
kahin to hoga
yahin kahin ..
benoor raat ki aayad me sitaaron ki ungali chhod ke bhaag aaya tha ..
dopahar ho gayii
par ab tak koii khabar nahii
shaam bhi nazdiik hai
aur har gali ke kiwaad bhi band hone lage hain in sard raaton me ..
na jaane
kis haal me, kahan hoga ..
..
kuch der pehle kuch aansunon ke rapat likhwaayi hai ..
'khayal' ka wo nanha sa shareer
tere dil ki mitti me dafan mila hai ..
tu kaatil kab se ho gaya ?
bhatakti palakon ne jaise koi khawaab thama ho ...
" aaj fir
teri palakon ko jab chuma,
to ek katra
tere gaal pe gira ..
teri palal ka ek baal ..
kaho to
use lekar
apni muthhi me band karke
tujhe maang lun .. "
kaash .. ye futkar me jo khwahishen
maangta rehta hun,
mere haatho me kabhi aakar gire
tera lams ban ke ..
kaash !!
jara saans to lo aye mere 'wajud' ...
yun bhagega to thak jaayega,
jara haule haule chal ...
jaanta hun ke tu thak chuka hai
is duniya ki nabz tatolate huye,
teri peshani pe bhi kayi lakeerin pad chuki hain
ye sochte ki kaun sa dhaaga tootega,
kaun saath rahega ...
kya wo bhi saath rahega
jiske liye tu yun baahar aane ko tadap raha hai ?
jaanta hun
kai sawaal abhi bhi muntazir hain
apne jawaabon ke sabaa me saans lene ko ...
... jara thoda aur waqt le,
jara ret ko aur sarakne do ...
.. kis kahanii ki dariyaadili hai
jo hum, harf-dar-harf,
kadi-dar-kadi
khote chale jaa rahe hain ...
is kissey ke aakhir me tum
miloge to naa ..!!!
.. ek shazar ke aad me
ek raasta tanha chala ja raha hai,
kadam-dar-kadam,
saans-dar-saans
mai chala jaa raha hun ..
aage kisi mod pe muntazir tum
miloge to naa .. !!
.. doobti kashti is faani zindagii ki,
surakh-dar-surakh,
lamha-dar-lamha
jaaya huaa ja raha hun ..
kisi gehrayi pe koi gauhar me tum
miloge to naa .. !!
hawa ke parde
jab khidkiyon par
lehrate hain,
teri yaad kuch hisse
dhoop me
rang jate hain,
khali deewaron par
do teen aaftaab bhi
mil jate hain..
jarurat nahi mujhe ab
kisi charag ki,
tere surur me
ye mere syaah kamre,ab
roshni me
pighal jate hain!
Aye Dastkaar ..
ye tune kaisee tasveer banayii hai ..
do mor ek dusre ke saamne khade kar diye hain,
unke peeche waadian khubsurat ukaerii hain ..
ek dariyaa tarashaa hai,
kuch parwaaz bikherein hain neele aasma me ..
.. ... ..
wo kaun sa waqt hai,
wo kauh sii ghadi,
jis pal
tere is hunar ko
Teri Qaynaat me pehchaan milegii ?
koi Dariyaa tarasho meri is jameen pe,
ke aaj beh nikalne ka man kiya hai ...
pighlaa to chuka hun apne wajud ko
par kya wasl-e-yar ho paayega ..
kya do jism ek rooh ho paayenge ...
hawaon ka isharaa kya kehta hai ?
kis simt chaloon mai ab ?
sochta hoon
ho jaaoon khaaq
aur ghul jaun is hawa mein,
haan, jab bhi yeh tanhayi ki
sihran tadapne lage,
kho jaunga aakar
tumhare hothon ke darmyan..
apni khidki ke us par dekhna
neele parde ki silwaton ko pakad ke ek chaand
kahin kisi kinaron pe, laal saagar ke,
utra hai...
yun palakein mat band karo
abhi saare moti mile nahin hain
subah tak saare ke saare ekat-they karne hain
wo dekho
abhi tak ek chaand lehron me uljhaa pada hua hai...
.. Ek aur shab bikhrii thi aasman pe chand peher pehle,
taakte rahe the saare aaftaab mere riste dard ko ..
pichhlii shaam hi apna Sooraj sharm se laal ho gaya tha,
kya humne koi khata ki thi jo be-parda mile the ..
kaise jii paunga ab ye 'jurm' karke,
kitnii saari baatein ud rahii hongi apne ghar ki galiyon me ..
tumne kabhi mujhe aasman ki misaal di thi ..
aur aaj .. soch raha hun
kaisaa aasma hun main,
aakhein neeche jhukaaye huye,
peshani pe apni hazaron sawalon ka bojh liye ..
kaisa aasma hun main
jo aaj apne Chaand ko chhod aaya hun
is Seher kii aag me jalne ke liye ...
Muflisii me guzarii ek raat maine ..
Chaand ko sikka samajhkar
pakadne ko hua ...
Haath me aaya to bas
tera chehraa ..
ek Shafaaq, khoobsurat chehraa ..
" ek chhote se dar ne abhi abhi pannah le is dil me,
kahin mere chaand me koi daag na pad jaaye " ...
Waqt ke is pairhan par
Aaj tere junoon ke
sitaare bikhre hue hain
Wo sanjida se aks
Aaj phir meri peshani par
raks kar rahe hain
abhi Khuda utra nahi hai...
abhi bhi meri hatheliyan
adhoora chaand banati hain...
roz sajda karta hun,
aankhein bhi usi ke
tasavvur me band kar leta hun...
kabhi kabhi apne maathe ko
haqiqat ki thandi zameen pe rakh deta hun...
Khuda shayad abhi bhi kisi kitaab ke
kuch tedhe harfon me chhupa hai...
kabhi kabhi dhadkanon me sunta to hun...
par yun bhi aati jaati saanson me
ek khalipan sa rehta hai...
abhi tak us chhupe huye ko
apne wazud ka ehsas nahi hai
yakin hai, kabhi to bandagi ko
uska muqaam haasil hoga...
jab haathon me
mera apna chaand hoga...
kai Shab ko sambhala hai maine,
kuch Seher machli hain baahar aane ko ..
roz hi Shafaq ka bosa leta hun ..
lehrein fir bhi daudti rehti hain,
uchhaltii hain, girtii hain,
simat-ti hain to kabhi bikhar jaati hain
jaante ho kiske liye ?
ek chamkilee patthar ko
aasma pe tangaa hua
udhaar ki roshni me ithlaata hua ..